Mere Rashk-e-Qamar
10:22 PM
This Urdu ghazal was penned by the Pakistani poet Fana Buland Shehri and performed as a qawwali by the great Ustad Nusrat Fateh Ali Khan (1948-1997). I could not find much online about the poet’s life, but quite a few famous qawwalis are attributed to him. Although “Mere Rashk-e-Qamar” is not as famous as other qawwalis performed by Nusrat Fateh Ali Khan, in my opinion it is one of the most poetic and powerful ones.
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
rashkmere-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya
rashkmere-e-qamar tu ne pehli nazar, jab nazar se milaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
barq si gir gaii kaam hi kar gaii, aag aisi lagaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
jaam mein ghol kar husn ki mastiyaan, chaandni muskuraaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
chaand ke saaey mein ae mere saaqiya, tu ne aisi pilaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
nasha sheeshe mein angraaii lene laga, bazm-e-rindaan mein saaghar khanakne lage
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
maikade pe barasne lagiin mastiyaan, jab ghata ghir ke chaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
behijaabana woh saamne aa gae, aur jawaani jawaani se takra gaii
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
aankh un ki lari yuun meri aankh se, dekh kar yeh laraaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
aankh mein thi hayaa har mulaaqaat par, surkh aariz hue wasl ki baat par
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
us ne sharma ke mere sawaalaat pe, aise gardan jhukaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
shaikh saahib ka eemaan mit hi gaya, dekh kar husn-e-saaqi pighal hi gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
aaj se pehle ye kitne maghroor the, lut gaii paarsaaii maza aa gaya
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
ae Fana shukar hai aaj baad-e-fana, us ne rakhli mere pyaar ki aabroo
(Cm)...(Bb)..(G#)..(Bb)...(G#)
apne haathon se us ne meri qabar par, chaadar-e-gul charhaaii maza aa gaya
0 comments